in udayi gayi afwaon ko, ab to haan ya naa mein anjaam dena hoga
kya hua gar barbaad ya badnaam hua, is rishte ko mitana ya naam to dena hoga.
ikrar nahi mujhse agar, to yeh ab mujhe batana hoga,
hadd pahunch gayi inteha ki, ab to tumhe bhi samne aana hoga.
khayalon mein tumhare gum rehta din bhar, is duniya mein mujhe laut kar aana hoga,
kya tumhein bhi pyar hai mujhse? is jawab ke aane tak dharti par paon tikana hoga.
saare kadam utha chuka ab tak,ab tumhein ek kadam to uthana hoga,
kasab tumhari na bologi khud aakar ,mujhe maun vrat nibhana hoga.
zor nahi de raha main, is uljhe hue dil ko samadhan dena hoga,
in udayi gayi afwaon ko, ab to haan ya naa mein anjaam dena hoga.
duniya ka ishq par vishwas rahe, unki khatir ek farz to nibha dena hoga
kya hua gar barbaad ya badnaam hua, is rishte ko mitana ya naam to dena hoga.
No comments:
Post a Comment