kya waqt main aage badhkar maine paaya hai....
mud ke dekhta hoon to bulate mujhe phir woh zammana hai...
seekhaya seekha accha bura, woh doston ke saath hi kya din tha accha...
yaad karta rehta hoon unhein aaj, jab jawani mein kadam rakha tha sang sang yeh baccha...
aaj ghis ghis kar waqt kata daftar mein..kal wahi phir din aana hai...
ek waqt woh tha....humne nahi doston ke saath waqt ne ghis jaana hai..
saath dene waala aur mile..par unhein humein tha ek dooje ko bhool jaana..
peene baithte hain sabke saath..par yaad rehta tumhare saath woh khali paimana..
woh dum ke kash seekhaye the tumne mujhe, woh madira mein jhoomna sikhya...
kahan chale is bheed ke sang hum tum, woh din laut ke kabhi na wapas aaya...
raat ki gaapon mein maaze lete dete woh raat bhi thak kar so jaati ...
kisi roz milo dobara doston... reh reh kar yaad tumhari bahut aati...
woh patte khelne ke liye,pariksha mein dhoke se mujhe bulana...
woh notes, kitabein ek dooje ke liye, phadne se na hitchkichana...
woh intezar ek dooje ke liye, canteen ya khane ke liye jaana...
woh mandir ke baad, munna ki chai peekar haste hue laut ke aana...
woh proxiyan tumhaare liye, chot lage hue is mote ko uthana...
woh janamdin ke tohfo bagair, bumps raat bhar dena dilana..
woh maal road par jaakar, apni waali ko dossron ki bahon mein paana...
khus te tab bhi hum, tab gum tha hum mein se kisne jaana...
woh seniors ke ek jhalak ke liye, saath dekar hausla badhana...
woh juniors ko niharne, library jaane ka accha tha bahana....
rocket,bauna,mota, dodo,pandey,bantia se naam se chilla kar bulana..
bhandu,mama,potter,dfuck ke pyar takrar ke kisson se unki class lagana..
woh exam ki raaton mein ek mushkil chapter ek dooje ko padhana..
woh C ki pehli lab ke baad, khandha de kar dhukhi man behlana...
woh kaalrav mein hissa lekar..shuruat se jeet tak ki khushi manana...
woh sunday ko biryani, ya maagi aur beer thapa ke yahan khana..
aaj is mod par aakar kya main aisa paya tumhare bin...
kya jaata hai tera malik...lauta de mujhe woh din...
yeh paise yeh naukri yeh ohda , yahan hum phir se aa sakte hain..
in kamino ke saath..kalyug mein hum draupadi bhi la sakte hain...
kahan chale gaye tum sab..waqt ne aisi kya bediyan daali hain...
kitna samay chala gaya..ek chitthi bhi tumhari na aayi hain..
kuch majbooriyan hain tumhari humari..kisi ki biwi bhi zindagi mein aayi hai..
ek sookon ka to haq hai mujhe aaj bhi... ki khair khushamati tumhari aayi hai..
No comments:
Post a Comment