One Liners

Take it with a grain of salt....

Thursday, June 16, 2011

Kuch lamhe aise bhi

Majboor:

Aaj bhi takte rahe gali gali,kadmo ki tumhari aahat ko..
Majboori di hai duniya ne chahat chupa ke rakhne ko...

Ikhtiyar rakhna mohabbat ka meri,itna sa hi imtihaan hai..

Tujhse se to guftugu bagair,yeh saawan bhi barasta jaisee angaar hai..



Duniya kya Jaane:

woh chup rahe..duniya ne guman samjha...
woh kehne lage..duniya ne baimaan samjha...
woh bhoolne lage..duniya ne bewafa samjha..
hum intezar mein rahe..duniya ne pagalpan samjha

is tis mein bhi mazaa hai..is duniya ne pyar ko kya khakh samjha..



Kahan Hai woh:

Deedar ko to taraste the,guftagu bhi kahan hai ab hasil...

Intezar mein taraste rahe,kahan chup gaya chand mera katil...

No comments: